mere hoñToñ ko chhuā chāhtī hai
ḳhāmushī! tū bhī ye kyā chāhtī hai
mere kamre meñ nahīñ hai jo kahīñ
ab vo khiḌkī bhī khulā chāhtī hai
zindagī! gar na udheḌegī mujhe
kis liye merā sirā chāhtī hai
saare hañgāme haiñ parde par ab
film bhī ḳhatm huā chāhtī hai
kab se baiThī hai udāsī pe merī
yaad kī titlī uḌā chāhtī hai
nuur miTTī meñ hī hogā un kī
jin charāġhoñ ko havā chāhtī hai
mere andar hai ummas is darja
mujh meñ bārish sī huā chāhtī hai
bhor aa.ī hai eraser kī tarah
shab kī tahrīr miTā chāhtī hai
āsmāñ meñ haiñ sarāboñ kī sī
jin ghaTāoñ ko havā chāhtī hai
chāñd kā phuul hai khilne ko phir
shaam ab shab ko chhuā chāhtī hai
phir na lauTegī mirī ā.ankhoñ meñ
niiñd rañgoñ sī uḌā chāhtī hai