Swapnil Tiwari

uske honTon par sur mahka karte hain

Swapnil Tiwari

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1984
us ke hoñToñ par sur mahkā karte haiñ
ham ab ḳhushbū se tar soyā karte haiñ
raushan rahte haiñ ġham sat.h pe ashkoñ kī
ye patthar paanī par tairā karte haiñ
din bhar maiñ in kī nigarānī kartā huuñ
shab bhar mere sapne jaagā karte haiñ
āñkheñ dhote haiñ sone ke paanī se
jāgte hī jo tum ko dekhā karte haiñ
vo jo jhoñke jaisā aatā jaatā hai
ham jo havā ko chhū kar bikhrā karte haiñ
pañdrah din kā ho kar marne lagtā hai
kyuuñ ham chāñd ko paalā posā karte haiñ
ham ko aañsū hī milte haiñ siip meñ bhī
vo ashkoñ meñ motī royā karte haiñ
bosa lene meñ kyuuñ kaT jaate haiñ hoñT
ham māñjhe dāñtoñ se kaaTā karte haiñ
aksar sāñseñ rok ke suntā rahtā huuñ
us ke lams badan par dhaḌkā karte haiñ
niiñd khule to us ko pahlū meñ paa.eñ
ham bhī kaise sapne dekhā karte haiñ
saarā ġhussa ab bas is kaam aatā hai
ham is se cigarette sulgāyā karte haiñ
Top Urdushayar.com