Swapnil Tiwari

sune sune se falak par ek ghaTa banti hui

Swapnil Tiwari

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1984
suune suune se falak par ik ghaTā bantī huī
dhīre dhīre us kī aamad kī fazā bantī huī
janm kā bas ek lamha aur ab ye zindagī
ik zarā sī baat baḌh kar mas.ala bantī huī
qaid sī lagne lagī hai mujh ko ye āvārgī
ab to āzādī bhī merī ik sazā bantī huī
terī dī har choT ik lazzat sī hai mere liye
ab ye lazzat dā.imī sā zā.iqa bantī huī
kar ga.ī hai kis qadar masrūf mujh ko dekhiye
merī sub.h-o-shām kā vo mashġhala bantī huī
haiñ sabhī TuuTe hue ye jaan paayā jab dukhī
merī ik TuuTī sadā sab kī sadā bantī huī
ai mire saa.e milā hai jab se tujh sā ham-safar
rāste kī har musībat rāstā bantī huī
tham chukī thī jab ki har halchal tirī yaad aa.ī phir
zindagī kī sat.h par ik bulbulā bantī huī
merī āñkheñ haiñ abhī bhī is tilismī qaid meñ
is kī vo dhundlī sī sūrat jā-ba-jā bantī huī
is jalan ke saath hī rahnā hai ab 'ātish' mujhe
jo mirī zid thī kabhī ab vo anā bantī huī
Top Urdushayar.com