muñh añdhere terī yādoñ se nikalnā hai mujhe
aur phir maazī kā pairāhan badalnā hai mujhe
parbatoñ par sub.h kī sī dhuup huuñ maiñ in dinoñ
jāntā huuñ ab Dhalānoñ par phisalnā hai mujhe
vaar se bachnā to hai hī vaar ik karnā bhī hai
aur in ke biich hī ruk kar sambhalnā hai mujhe
mujh pe hī aa kar Tikīñ bedār āñhkeñ is liye
ban ke jugnū aas kā har raat jalnā hai mujhe
ai mirī masrūfiyat mujh ko zarūrat hai tirī
ik purāne ġham kā sar phir se kuchalnā hai mujhe
ik udāsī kā samundar hai mire andar kahīñ
haañ usī meñ shaam ke sūraj sā Dhalnā hai mujhe
maiñ kisī muflis kā jī huuñ yuuñ nahīñ to yuuñ sahī
bas zarā sī baat se hī to bahalnā hai mujhe
maiñ koī but to nahīñ 'ātish' mulā.em barf kā
aañch se ik din magar apnī pighalnā hai mujhe