Swapnil Tiwari

mili hai rahat hamein safar se

Swapnil Tiwari

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1984
milī hai rāhat hameñ safar se
thakan to le kar chale the ghar se
abhī palak par palak na baiThī
ye ḳhvāb aane lage kidhar se
falak pe kuchh der chāñd Thahrā
vidā.a lete hue sahar se
tavīl novel meñ zindagī ke
tamām qisse haiñ muḳhtasar se
vo dekhte dekhte hī ik din
utar gayā thā mirī nazar se
usī galī meñ nahīñ ga.e bas
guzar ga.e ham idhar udhar se
guzar-basar kī hai koī sūrat?
ye sirf hogī guzar-basar se
dhueñ se 'ātish' jaleñgī āñkheñ
jale nahīñ ham is ek Dar se
Top Urdushayar.com