Swapnil Tiwari

dhup ke bhitar chhup kar nikli

Swapnil Tiwari

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1984
dhuup ke bhītar chhup kar niklī
tārīkī sāyoñ bhar niklī
raat girī thī ik gaḌhDhe meñ
shaam kā haath pakaḌ kar niklī
royā us se mil kar royā
chāhat bhes badal kar niklī
phuul to phūloñ sā honā thā
titlī kaisī patthar niklī
suut haiñ ghar ke har kone meñ
makḌī puurī bun kar niklī
tāza-dam hone ko udāsī
le kar ġham kā shower niklī
jaañ niklī us ke pahlū meñ
vo hī merā mag.har niklī
hijr kī shab se ghabrāte the
yaar yahī shab behtar niklī
jab bhī chor mire ghar aa.e
ek hañsī hī zevar niklī
'ātish' kundan ruuh milī hai
umr kī aag meñ jal kar niklī
Top Urdushayar.com