Sajjad Baluch

kahan zamin ke zaif zine pe chal rahi hai

Sajjad Baluch

Attock, Punjab, Pakistan

1976
kahāñ zamīñ ke za.iif ziine pe chal rahī hai
ye raat sadiyoñ se mere siine pe chal rahī hai
ravāñ hai mauj-e-junūñ pe ehsās kā safīna
aur ek tahzīb is safīne pe chal rahī hai
ḳhumār-e-ḳhvāb-e-sahar ye dil aur terī yādeñ
havā dabe paañv ābgīne pe chal rahī hai
maiñ mar gayā to ḳhabar nahīñ un kā kyā banegā
dukān-e-yārāñ to sirf kiine pe chal rahī hai
guzar chukā hai tirī judā.ī kā sāneha bhī
hamārī dhaḌkan na.e qarīne pe chal rahī hai
Top Urdushayar.com