yuuñ judā hue mere dard-āshnā mujh se
ek se ḳhafā huuñ maiñ dūsrā ḳhafā mujh se
ik diye se koshish kī dūsrā jalāne kī
aur is amal meñ phir vo bhī bujh gayā mujh se
terī aarzū kyā hai kyā nahīñ samajhtā maiñ
dekh apnī ḳhvāhish ko aur mat chhupā mujh se
raah kā shajar huuñ maiñ aur ik musāfir tū
de koī duā mujh ko le koī duā mujh se
maiñ ujaaḌ gulshan meñ is liye hī baiThā huuñ
bāñTtā hai dukh apnā mauja-e-sabā mujh se