Sajjad Baluch

lahr us aankh mein lahrai jo be-zari ki

Sajjad Baluch

Attock, Punjab, Pakistan

1976
lahr us aañkh meñ lahrā.ī jo be-zārī kī
ham ne hañste hue phir kuuch kī tayyārī kī
mujh ko jis raat samundar ne utārā ḳhud meñ
maiñ ne us raat bhī sāhil kī taraf-dārī kī
ham ne girye ko bhī ādāb ke andar rakkhā
apne a.asāb pe vahshat na kabhī taarī kī
naqsh-e-pā DhūñDhtā phirtā hai sahar kā vo bhī
jis pe ik raat bhī guzrī nahīñ bedārī kī
raushnī parda-e-mizgāñ se chhinī jaatī hai
kis ne ye ḳhvāb-gah-e-dil meñ ziyā-bārī kī
dil meñ bhar laayā huuñ mahrūmī-e-duniyā 'sajjād'
aaj bāzār se phir maiñ ne ḳharīdārī kī
Top Urdushayar.com