tum ġhalat samjhe hameñ aur pareshānī hai
ye to āsānī hai jo be-sar-o-sāmānī hai
ḳhvāhish-e-dīd sar-e-vasl jo niklī nahīñ thī
lamha-e-hijr meñ tajrīd kī uryānī hai
kyuuñ bhalā bojh uThā.ūñ maiñ tire ḳhvāboñ kā
mere ā.īne meñ kyā kam koī hairānī hai
ek muddat se jo baiThī hai mirī palkoñ par
ḳhāna-e-dil meñ vo sūrat abhī anjānī hai
Duub jaatā hai sar-e-shām hamārā dil bhī
ye bhī sūraj kī tarah raat kā zindānī hai
ḳhud ko ham bech ke ik ḳhvāb to le paa.e nahīñ
tere bāzār meñ kis chiiz kī arzānī hai
kis bharose pe maiñ Takrā.ūñ havā se 'sajjād'
gar bikhartā huuñ to atrāf meñ sab paanī hai