surḳh makāñ Dhaltā jaatā hai ik barfīlī miTTī meñ
aur makīñ bhī dekh rahe haiñ ye tabdīlī miTTī meñ
un galiyoñ ke ramz-o-kināya yuuñ vahshat-āsār hue
meñ to dil hī chhoḌ ke bhāgā is lachkīlī miTTī meñ
ḳhamyāza hai bām-o-dar par jaane kin barsātoñ kā
nam-dīda pul ghuum rahe haiñ har sau siilī miTTī meñ
ik sahrā meñ rone vaale pahle TuuT ke rote haiñ
aur duā.eñ bo aate haiñ phir us giilī miTTī meñ
kal jī bhar kar zahr uñDelā ham ne ḳhvāb kī fasloñ par
har sū niilī ghaas ugī hai ab zahrīlī miTTī meñ
ab shādāb ye hogī jā kar jaane kitne ashkoñ se
jaane kitnā ḳhuun milegā aur is piilī miTTī meñ