Sajjad Baluch

shab ki zulfen sanwarta hua main

Sajjad Baluch

Attock, Punjab, Pakistan

1976
shab kī zulfeñ sañvārtā huā maiñ
ye tire saath jāgtā huā maiñ
rishta-e-jāñ se kaT gayā yaksar
kuchh ta.alluq nibāhtā huā maiñ
vo sar-e-bazm jhūmtā huā tū
ye sar-e-rah karāhtā huā maiñ
vo sar-e-shāḳh tū mahaktā huā
aur sar-e-ḳhāk sūkhtā huā maiñ
gir gayā thak ke apne qadmoñ meñ
tujh se tujh ko hī māñgtā huā maiñ
aks-dar-aks phailtā huā tū
ḳhvāb-dar-ḳhvāb bhāgtā huā maiñ
tere sarsabz mausamoñ se judā
dasht kī ḳhaak phāñktā huā maiñ
apne taaza vajūd meñ gum huuñ
tujhe nasloñ se khojtā huā maiñ
mujhe qarnoñ meñ sochtā huā tū
tujhe sadiyoñ meñ DhūñDhtā huā maiñ
ye mirā dard bhūltā huā tū
ye tirī ḳhair māñgtā huā maiñ
adl kī maslahat kā ā.īna
ye sar-e-dār jhūltā huā maiñ
Top Urdushayar.com