dikhā.ī deñgī sabhī mumkināt kāġhaz par
zarā utaar to luuñ sab jihāt kāġhaz par
marī kahānī bahut der se rukī huī hai
vo kho gayā hai kahīñ rakh ke haath kāġhaz par
hamārī taaza ġhazal meñ bhī aks hai us kā
vo ek ashk jo Tapkā thā raat kāġhaz par
meñ thak chukā huuñ faqat rā.egāniyāñ likhte
uñDel duuñ na kahīñ ab davāt kāġhaz par
kise ḳhabar ki ye raddī meñ bech dī jaa.e
banā rahā huuñ maiñ jo kā.enāt kāġhaz par
maiñ likh rahā thā tirī ḳhvāb-gāh kī yādeñ
ki so gayā thā vahīñ rakh ke haath kāġhaz par