zindagī kyuuñ udaas hai ai dost
maut kyā ās-pās hai ai dost
vo bhī maslūb ho na jaa.e kahīñ
vo baḌā haq-shanās hai ai dost
thā jo 'ġhālib'-shikan zamāne meñ
vo 'yagānā' hī 'yās' hai ai dost
ye zamāna bhī kyā qayāmat hai
har taraf ik hirās hai ai dost
hai jo har dil meñ ik ḳhudī kā surūr
zindagī kī asaas hai ai dost
duur rah kar bhī mujh se duur nahīñ
vo sadā dil ke paas hai ai dost
ho ziyārat mujhe madīne kī
rab se ye iltimās hai ai dost