agar tum ko mujh se mohabbat na hotī
ye saudā na hotā ye vahshat na hotī
jo husn-e-nazar kār-farmā na hotā
jahāñ meñ koī achchhī sūrat na hotī
butoñ se agar hotī ḳhālī ye duniyā
ḳhudā kī bhī koī haqīqat na hotī
terī yaad ke saath aate na aañsū
agar mujh ko tujh se mohabbat na hotī
jo hotā na maiñ kushta-e-ishq 'qaisar'
ye sūrat na hotī ye hālat na hotī