Qaisar Usmani

badla mizaj-e-husn to wo ru-ba-ru nahin

Qaisar Usmani

Mumbai, Maharashtra, India

1919
badlā mizāj-e-husn to vo rū-ba-rū nahīñ
vo ishva-o-adā nahīñ vo guftugū nahīñ
dil se tujhe nikāl ke kuchh mutma.in to huuñ
phir bhī kahūñ ye kaise tirī justujū nahīñ
ḳhushbū na jin kī phaile fazāoñ meñ chār-sū
gulshan meñ aise phūloñ kī kuchh aabrū nahīñ
jab se nizām-e-mai-kada badlā hai dosto
vo mai nahīñ vo jaam nahīñ vo subū nahīñ
charche vo dostoñ ne diye haiñ ki al-amāñ
ab rāh-o-rasm kī bhī mujhe aarzū nahīñ
'qaisar' har ik taraf hai girānī kā tazkira
lekin zarā batā.iye sastā lahū nahīñ
Top Urdushayar.com