maiñ us maqām pe huuñ jis ko lā-makāñ kahiye
zamīñ na kahiye use aur na āsmāñ kahiye
fazā-e-dil na mo.attar ho jis se ai hamdam
na bostāñ use kahiye na gulistāñ kahiye
visāl-e-yār mayassar na ho to kyā ġham hai
ḳhayāl-e-yār to hai jis ko dil-sitāñ kahiye
rafīq jitne the apne vo uTh ga.e saare
hai kaun bazm meñ ab jis ko rāzdāñ kahiye
chaman meñ rah ke bhī 'qaisar' mujhe nahīñ ma.alūm
bahār kahiye use yā use ḳhizāñ kahiye