Qaisar Usmani

mujhko dekha na baat ki koi

Qaisar Usmani

Mumbai, Maharashtra, India

1919
mujh ko dekhā na baat kī koī
ye bhī āḳhir adā huī koī
muskurānā bhī kyā ġhazab hai tirā
jaise bijlī chamak ga.ī koī
kab se huuñ zindagī ke sahrā meñ
chhāñv ab to mile ghanī koī
ek shab aur do hoñ māh-e-tamām
aa.e phir aisī ik ghaḌī koī
dil ko chhūne se jo rahe qāsir
vo bhī 'qaisar' hai shā.irī koī
Top Urdushayar.com