Shakeb Jalali

duniya walon ne chahat ka mujhko sila anmol diya

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
duniyā vāloñ ne chāhat kā mujh ko sila anmol diyā
pairoñ meñ zanjīreñ Dālīñ hāthoñ meñ kashkol diyā
itnā gahrā rañg kahāñ thā raat ke maile āñchal kā
ye kis ne ro ro ke gagan meñ apnā kājal ghol diyā
ye kyā kam hai us ne baḳhshā ek mahaktā dard mujhe
vo bhī haiñ jin ko rañgoñ kā ik chamkīlā ḳhol diyā
mujh sā be-māya apnoñ kī aur to ḳhātir kyā kartā
jab bhī sitam kā paikāñ aayā maiñ ne siina khol diyā
biite lamhe dhyān meñ aa kar mujh se savālī hote haiñ
tū ne kis banjar miTTī meñ man kā amrit Dol diyā
ashkoñ kī ujlī kaliyāñ hoñ yā sapnoñ ke kundan phuul
ulfat kī mīzān meñ maiñ ne jo thā sab kuchh tol diyā
Top Urdushayar.com