ḳhamoshī bol uTThe har nazar paiġhām ho jaa.e
ye sannāTā agar had se baḌhe kohrām ho jaa.e
sitāre mish.aleñ le kar mujhe bhī DhūñDne nikleñ
maiñ rasta bhuul jā.ūñ jañgaloñ meñ shaam ho jaa.e
maiñ vo ādam-gazīda huuñ jo tanhā.ī ke sahrā meñ
ḳhud apnī chaap sun kar larza-bar-andām ho jaa.e
misāl aisī hai is daur-e-ḳhirad ke hosh-mandoñ kī
na ho dāman meñ zarra aur sahrā naam ho jaa.e
'shakeb' apne ta.āruf ke liye ye baat kaafī hai
ham us se bach ke chalte haiñ jo rasta aam ho jaa.e