koī is dil kā haal kyā jaane
ek ḳhvāhish hazār tah-ḳhāne
maut ne aaj ḳhud-kushī kar lī
ziist par kyā banī ḳhudā jaane
phir huā koī bad-gumāñ ham se
phir janam le rahe haiñ afsāne
vaqt ne ye kahā hai ruk ruk kar
aaj ke dost kal ke begāne
duur se ek chīḳh ubhrī thī
ban ga.e be-shumār afsāne
ziist ke shor-o-shar meñ Duub ga.e
vaqt ko nāpne ke paimāne
kitnā mushkil hai manziloñ kā husūl
kitne āsāñ haiñ jaal phailāne
raaz ye hai ki koī raaz nahīñ
log phir bhī mujhe na pahchāne