aayā hai har chaḌhā.ī ke ba.ad ik utaar bhī
pastī se ham-kanār mile kohsār bhī
āḳhir ko thak ke baiTh ga.ī ik maqām par
kuchh duur mere saath chalī rahguzār bhī
dil kyuuñ dhaḌakne lagtā hai ubhre jo koī chaap
ab to nahīñ kisī kā mujhe intizār bhī
jab bhī sukūt-e-shām meñ aayā tirā ḳhayāl
kuchh der ko Thahar sā gayā ābshār bhī
kuchh ho gayā hai dhuup se ḳhākistarī badan
kuchh jam gayā hai raah kā mujh par ġhubār bhī
is fāsloñ ke dasht meñ rahbar vahī bane
jis kī nigāh dekh le sadiyoñ ke paar bhī
ai dost pahle qurb kā nashsha ajiib thā
maiñ sun sakā na apne badan kī pukār bhī
rasta bhī vāpsī kā kahīñ ban meñ kho gayā
ojhal huī nigāh se hirnoñ kī Daar bhī
kyuuñ ro rahe ho raah ke andhe charāġh ko
kyā bujh gayā havā se lahū kā sharār bhī
kuchh aql bhī hai bā.is-e-tauqīr ai 'shakeb'
kuchh aa ga.e haiñ bāloñ meñ chāñdī ke taar bhī