gūñjtā hai nāla-e-mahtāb aadhī raat ko
TuuT jaate haiñ suhāne ḳhvāb aadhī raat ko
bhāgte sāyoñ kī chīḳheñ TūTte tāroñ kā shor
maiñ huuñ aur ik mahshar-e-be-ḳhvāb aadhī raat ko
shaam hī se bazm-e-anjum nashsha-e-ġhaflat meñ thī
chāñd ne bhī pī liyā zahrāb aadhī raat ko
ik shikasta ḳhvāb kī kaḌiyāñ milāne aa.e haiñ
der se bichhḌe hue ahbāb aadhī raat ko
daulat-e-ehsās-e-ġham kī itnī arzānī huī
niiñd sī shai ho ga.ī nāyāb aadhī raat ko