vo sāmne thā phir bhī kahāñ sāmnā huā
rahtā hai apne nuur meñ sūraj chhupā huā
ai raushnī kī lahr kabhī to palaT ke aa
tujh ko bulā rahā hai darīcha khulā huā
sairāb kis tarah ho zamīñ duur duur kī
sāhil ne hai nadī ko muqayyad kiyā huā
ai dost chashm-e-shauq ne dekhā hai bār-hā
bijlī se terā naam ghaTā par likhā huā
pahchānte nahīñ use mahfil meñ dost bhī
chehra ho jis kā gard-e-alam se aTā huā
is daur meñ ḳhulūs kā kyā kaam ai 'shakeb'
kyuuñ kar chale bisāt pe mohra piTā huā