aa ke patthar to mire sahn meñ do chaar gire
jitne us peḌ ke phal the pas-e-dīvār gire
aisī dahshat thī fazāoñ meñ khule paanī kī
aañkh jhapkī bhī nahīñ haath se patvār gire
mujhe girnā hai to maiñ apne hī qadmoñ meñ girūñ
jis tarah sāya-e-dīvār pe dīvār gire
tīrgī chhoḌ ga.e dil meñ ujāle ke ḳhutūt
ye sitāre mire ghar TuuT ke bekār gire
kyā havā haath meñ talvār liye phirtī thī
kyuuñ mujhe Dhaal banāne ko ye chhitnār gire
dekh kar apne dar-o-bām laraz jaatā huuñ
mire ham-sā.e meñ jab bhī koī dīvār gire
vaqt kī Dor ḳhudā jaane kahāñ se TuuTe
kis ghaḌī sar pe ye laTkī huī talvār gire
ham se Takrā ga.ī ḳhud baḌh ke añdhere kī chaTān
ham sambhal kar jo bahut chalte the nā-chār gire
kyā kahūñ dīda-e-tar ye to mirā chehra hai
sañg kaT jaate haiñ bārish kī jahāñ dhaar gire
haath aayā nahīñ kuchh raat kī daldal ke sivā
haa.e kis moḌ pe ḳhvāboñ ke parastār gire
vo tajallī kī shuā.eñ thiiñ ki jalte hue par
aa.ine TuuT ga.e ā.ina-bardār gire
dekhte kyuuñ ho 'shakeb' itnī bulandī kī taraf
na uThāyā karo sar ko ki ye dastār gire