mīThe chashmoñ se ḳhunuk chhāñv se duur
zaḳhm khulte haiñ tire gaañv se duur
sañg-e-manzil ne lahū uglā hai
duur ham bādiya-paimāoñ se duur
kitnī sham.eñ haiñ asīr-e-fānūs
kitne yūsuf haiñ zuleḳhāoñ se duur
kisht-e-ummīd sulagtī hī rahī
abr barsā bhī to sahrāoñ se duur
jaur-e-hālāt bhalā ho terā
chain miltā hai shanāsāoñ se duur
jannat-e-fikr bulātī hai chalo
dair-o-ka.aba se kalīsāoñ se duur
raqs-e-āshuftā-sarāñ dekheñge
duur in anjuman-ārāoñ se duur
justujū hai dur-e-yaktā kī 'shakeb'
sīpiyāñ chunte haiñ dariyāoñ se duur