Shakeb Jalali

shafaq jo ru-e-sahar par gulal malne lagi

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
shafaq jo rū-e-sahar par gulāl malne lagī
ye bastiyoñ kī fazā kyuuñ dhuāñ ugalne lagī
isī liye to havā ro paḌī daraḳhtoñ meñ
abhī maiñ khil na sakā thā ki rut badalne lagī
utar ke naav se bhī kab safar tamām huā
zamīñ pe paañv dharā to zamīn chalne lagī
kisī kā jism agar chhū liyā ḳhayāl meñ bhī
to por por mirī misl-e-sham.a jalne lagī
maiñ nāptā chalā qadmoñ se apne saa.e ko
kabhī jo dasht-e-masāfat meñ dhuup Dhalne lagī
mirī nigāh meñ ḳhvāhish kā shā.iba bhī na thā
ye barf sī tire chehre pe kyuuñ pighalne lagī
havā chalī sar-e-sahrā to yuuñ lagā jaise
ridā-e-shām mire dosh se phisalne lagī
kahīñ paḌā na ho partav bahār-e-rafta kā
ye sabz buuñd sī palkoñ pe kyā machalne lagī
na jaane kyā kahā us ne bahut hī āhista
fazā kī Thahrī huī saañs phir se chalne lagī
jo dil kā zahr thā kāġhaz pe sab bikher diyā
jo apne aap tabī.at mirī sambhalne lagī
jahāñ shajar pe lagā thā tabar kā zaḳhm 'shakeb'
vahīñ ye dekh le koñpal na.ī nikalne lagī
Top Urdushayar.com