Shakeb Jalali

mere KHulus ki shiddat se koi Dar bhi gaya

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
mire ḳhulūs kī shiddat se koī Dar bhī gayā
vo paas aa to rahā thā magar Thahar bhī gayā
ye dekhnā thā bachāne bhī koī aatā hai
agar maiñ Duub rahā thā to ḳhud ubhar bhī gayā
ai rāste ke darḳhto sameT lo saaya
tumhāre jaal se bach kar koī guzar bhī gayā
kisī tarah se tumhārī jabīñ chamak to ga.ī
ye aur baat siyāhī meñ haath bhar bhī gayā
usī pahāḌ ne phūñke the kyā ka.ī jañgal
jo ḳhaak ho ke mire haath par bikhar bhī gayā
yahīñ kahīñ mire hoñToñ ke paas phirtā hai
vo ek lafz ki jo zehn se utar bhī gayā
vo shāḳh jhuul ga.ī jis pe paañv qaa.em the
'shakeb' varna mirā haath tā-samar bhī gayā
Top Urdushayar.com