samajh sako to ye tishna-labī samundar hai
ba-qadr-e-zarf har ik aadmī samundar hai
ubhar ke Duub ga.ī kashtī-e-ḳhayāl kahīñ
ye chāñd ek bhañvar chāñdnī samundar hai
jo dāstāñ na bane dard-e-bekarāñ hai vahī
jo aañkh hī meñ rahe vo namī samundar hai
na sochiye to bahut muḳhtasar hai sail-e-hayāt
jo sochiye to yahī zindagī samundar hai
tū is meñ Duub ke shāyad ubhar sake na kabhī
mire habīb mirī ḳhāmushī samundar hai