kyā chiiz hai ye sa.ī-e-paiham kyā jazba-e-kāmil hotā hai
allāh ko agar manzūr na ho har maqsad bātil hotā hai
ik Tiis sī paiham paatā huuñ kyā is ko mohabbat kahte haiñ
mahsūs mujhe mīThā mīThā kuchh dard sā ai dil hotā hai
taskīn ko dhokā dete haiñ nākām tamannā ye kah kar
har-gām pe manzil hotī hai har mauj meñ sāhil hotā hai
ye rañj-o-alam hī mere liye ab ziist kā unvāñ haiñ hamdam
is duniyā meñ pahle pahle har kaam hī mushkil hotā hai
taskīn sī kyuuñ mil jaatī hai mizrāb-e-dast-e-shauq mujhe
har tār-e-garebāñ kyā vahshat ke saaz kā hāmil hotā hai