phir sun rahā huuñ guzre zamāne kī chaap ko
bhūlā huā thā der se maiñ apne-āp ko
rahte haiñ kuchh malūl se chehre paḌos meñ
itnā na tez kījiye Dholak kī thaap ko
ashkoñ kī ek nahr thī jo ḳhushk ho ga.ī
kyūñkar miTā.ūñ dil se tire ġham kī chhāp ko
kitnā hī be-kanār samundar ho phir bhī dost
rahtā hai be-qarār nadī ke milāp ko
pahle to merī yaad se aa.ī hayā unheñ
phir aa.ine meñ chuum liyā apne-āp ko
tārīf kyā ho qāmat-e-dildār kī 'shakeb'
tajsīm kar diyā hai kisī ne alaap ko