Shakeb Jalali

sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aT gayā
dariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaT gayā
lagtā thā be-karāñ mujhe sahrā meñ āsmāñ
pahuñchā jo bastiyoñ meñ to ḳhānoñ meñ baT gayā
yā itnā saḳht-jān ki talvār be-asar
yā itnā narm-dil ki rag-e-gul se kaT gayā
bāñhoñ meñ aa sakā na havelī kā ik sutūn
putlī meñ merī aañkh kī sahrā simaT gayā
ab kaun jaa.e ku-e-malāmat ko chhoḌ kar
qadmoñ se aa ke apnā hī saaya lipaT gayā
gumbad kā kyā qusūr use kyuuñ kaho burā
aayā jidhar se tair udhar hī palaT gayā
rakhtā hai ḳhud se kaun harīfāna kashmakash
maiñ thā ki raat apne muqābil hī DaT gayā
jis kī amaañ meñ huuñ vahī uktā gayā na ho
būñdeñ ye kyuuñ barastī haiñ bādal to chhaT gayā
vo lamha-e-shu.ūr jise jāñkanī kaheñ
chehre se zindagī ke naqābeñ ulaT gayā
Thokar se merā paañv to zaḳhmī huā zarūr
raste meñ jo khaḌā thā vo kohsār haT gayā
ik hashr sā bapā thā mire dil meñ ai 'shakeb'
kholīñ jo khiḌkiyāñ to zarā shor ghaT gayā
Top Urdushayar.com