Shakeb Jalali

bas ek shua-e-nur se saya simaT gaya

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
bas ik shuā-e-nūr se saaya simaT gayā
vo paas aa rahā thā ki maiñ duur haT gayā
phir darmiyān-e-aql-o-junūñ jañg chhiḌ ga.ī
phir majma-e-ḳhavāas girohoñ meñ baT gayā
kyā ab bhī terī ḳhātir-e-nāzuk pe baar huuñ
patthar nahīñ ki maiñ tire raste se haT gayā
yā itnā saḳht-jān ki talvār be-asar
yā itnā narm-dil ki rag-e-gul se kaT gayā
vo lamha-e-shu.ūr jise jāñ-kanī kaheñ
chehre se zindagī kī naqābeñ ulaT gayā
ab kaun jaa.e kū-e-malāmat se lauT kar
qadmoñ se aa ke apnā hī saaya lipaT gayā
āḳhir 'shakeb' ḳhū-e-sitam us ne chhoḌ dī
zauq-e-safar ko dekh ke sahrā simaT gayā
Top Urdushayar.com