dostī kā fareb hī khā.eñ
aao kāġhaz kī naav tairā.eñ
ham agar rah-ravī kā azm kareñ
manzileñ khiñch ke ḳhud chalī aa.eñ
ham ko āmāda-e-safar na karo
rāste pur-ḳhatar na ho jaa.eñ
ham-safar rah ga.e bahut pīchhe
aao kuchh der ko Thahar jaa.eñ
mutriba aisā giit chheḌ ki ham
zindagī ke qarīb ho jaa.eñ
in bahāroñ kī aabrū rakh lo
muskurāo ki phuul khil jaa.eñ
gesū-e-zīst ke ye uljhāv
aao mil kar 'shakeb' suljhā.eñ