kahāñ rukeñge musāfir na.e zamānoñ ke
badal rahā hai junūñ zāviye uḌānoñ ke
ye dil kā zaḳhm hai ik roz bhar hī jā.egā
shigāf pur nahīñ hote faqat chaTānoñ ke
chhalak chhalak ke baḌhā merī samt niiñd kā jaam
pighal pighal ke gire qufl qaid-ḳhānoñ ke
havā ke dasht meñ tanhā.ī kā guzar hī nahīñ
mire rafīq haiñ mutrib ga.e zamānoñ ke
kabhī hamāre nuqūsh-e-qadam ko tarseñge
vahī jo aaj sitāre haiñ āsmānoñ ke