jaatī hai dhuup ujle paroñ ko sameT ke
zaḳhmoñ ko ab ginūñgā maiñ bistar pe leT ke
maiñ haath kī lakīreñ miTāne pe huuñ ba-zid
go jāntā huuñ naqsh nahīñ ye saleT ke
duniyā ko kuchh ḳhabar nahīñ kyā hādisa huā
pheñkā thā us ne sañg guloñ meñ lapeT ke
favvāre kī tarah na ugal de har ek baat
kam kam vo bolte haiñ jo gahre haiñ peT ke
ik nuqra.ī khanak ke sivā kyā milā 'shakeb'
TukḌe ye mujh se kahte haiñ TuuTī plate ke