kanār-e-āb khaḌā ḳhud se kah rahā hai koī
gumāñ guzartā hai ye shaḳhs dūsrā hai koī
havā ne toḌ ke patta zamīñ pe pheñkā hai
ki shab kī jhiil meñ patthar girā diyā hai koī
baTā sake haiñ paḌosī kisī kā dard kabhī
yahī bahut hai ki chehre se āshnā hai koī
daraḳht-e-rāh batā.eñ hilā hilā kar haath
ki qāfile se musāfir bichhaḌ gayā hai koī
chhuḌā ke haath bahut duur bah gayā hai chāñd
kisī ke saath samundar meñ Dūbtā hai koī
ye āsmān se TuuTā huā sitāra hai
ki dasht-e-shab meñ bhaTaktī huī sadā hai koī
makān aur nahīñ hai badal gayā hai makīñ
ufuq vahī hai magar chāñd dūsrā hai koī
fasīl-e-jism pe taaza lahū ke chhīñTe haiñ
hudūd-e-vaqt se aage nikal gayā hai koī
'shakeb' diip se lahrā rahe haiñ palkoñ par
dayār-e-chashm meñ kyā aaj rat-jagā hai koī