bejā navāzishāt kā bār-e-garāñ nahīñ
maiñ ḳhush huuñ is liye ki koī mehrbāñ nahīñ
āġhosh-e-hādsāt meñ paa.ī hai parvarish
jo barq phūñk de vo mirā āshiyāñ nahīñ
kyuuñ hans rahe haiñ raah kī dushvāriyoñ pe log
huuñ be-vatan zarūr magar be-nishāñ nahīñ
ghabrā.iye na gardish-e-ayyām se hanūz
tartīb-e-fasl-e-gul hai ye daur-e-ḳhizāñ nahīñ
kuchh barq-soz tinke mujhe chāhiyeñ 'shakeb'
jhuk jaa.eñ gul ke baar se vo Dāliyāñ nahīñ