Shakeb Jalali

gham-e-ulfat mere chehre se ayan kyun na hua

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
ġham-e-ulfat mire chehre se ayaañ kyuuñ na huā
aag jab dil meñ sulagtī thī dhuāñ kyuuñ na huā
sail-e-ġham ruktā nahīñ zabt kī dīvāroñ se
josh-e-girya thā to maiñ girya-kunāñ kyuuñ na huā
kahte haiñ husn ḳhad-o-ḳhāl kā pāband nahīñ
har hasīñ shai pe mujhe terā gumāñ kyuuñ na huā
dasht bhī is ke makīñ shahr bhī is meñ ābād
tū jahāñ aan base dil vo makāñ kyuuñ na huā
ye samajhte hue maqsūd-e-nazar hai tū hī
maiñ tire husn kī jānib nigarāñ kyuuñ na huā
is se pahle ki tire lams kī ḳhushbū kho jaa.e
tujh ko pā lene kā armān javāñ kyuuñ na huā
tapte sahrā to mirī manzil-e-maqsūd na the
maiñ kahīñ ham-safar-e-abr-e-ravāñ kyuuñ na huā
ajnabī par to yahāñ lutf sivā hotā hai
maiñ bhī is shahr meñ benām-o-nishāñ kyuuñ na huā
nā-rasā.ī thī mire shauq kā hāsil to 'shakeb'
hā.il-e-rāh koī sañg-e-girāñ kyuuñ na huā
Top Urdushayar.com