dasht o sahrā agar basā.e haiñ
ham gulistāñ meñ kab samā.e haiñ
aap naġhmoñ ke muntazir hoñge
ham to fariyād le ke aa.e haiñ
ek apnā diyā jalāne ko
tum ne lākhoñ diye bujhā.e haiñ
kyā nazar aa.egā abhī ham ko
yak-ba-yak raushnī meñ aa.e haiñ
yuuñ to saarā chaman hamārā hai
phuul jitne bhī haiñ parā.e haiñ