gale milā na kabhī chāñd baḳht aisā thā
harā-bharā badan apnā daraḳht aisā thā
sitāre siskiyāñ bharte the os rotī thī
fasāna-e-jigar-e-laḳht-laḳht aisā thā
zarā na mom huā pyaar kī harārat se
chaTaḳh ke TuuT gayā dil kā saḳht aisā thā
ye aur baat ki vo lab the phuul se nāzuk
koī na sah sake lahja karaḳht aisā thā
kahāñ kī sair na kī tosan-e-taḳhayyul par
hameñ to ye bhī sulemāñ ke taḳht aisā thā
idhar se guzrā thā mulk-e-suḳhan kā shahzāda
koī na jaan sakā sāz-o-raḳht aisā thā