raushan haiñ dil ke daaġh na āñkhoñ ke shab-charāġh
kyuuñ shaam hī se bujh ga.e mahfil ke sab charāġh
vo din nahīñ kiran se kiran meñ lage jo aag
vo shab kahāñ charāġh se jalte the jab charāġh
tiira hai ḳhāk-dāñ to falak be-nujūm hai
laa.e kahāñ se maañg ke dast-e-talab charāġh
raushan-zamīr aaj bhī zulmat-nasīb haiñ
tum ne diye haiñ pūchh ke nām-o-nasab charāġh
vo tīrgī hai dasht-e-vafā meñ ki al-amāñ
chamke jo mauj-e-reg to paa.e laqab charāġh
din ho agar to raat se ta.abīr kyuuñ kareñ
sūraj ko ahl-e-hosh dikhāte haiñ kab charāġh
ai bād-e-tund vaz.a ke pāband ham bhī haiñ
patthar kī oT le ke jalā.eñge ab charāġh