kyā kahiye ki ab us kī sadā tak nahīñ aatī
ūñchī hoñ fasīleñ to havā tak nahīñ aatī
shāyad hī koī aa sake is moḌ se aage
is moḌ se aage to qazā tak nahīñ aatī
vo gul na rahe nik.hat-e-gul ḳhaak milegī
ye soch ke gulshan meñ sabā tak nahīñ aatī
is shor-e-talātum meñ koī kis ko pukāre
kānoñ meñ yahāñ apnī sadā tak nahīñ aatī
ḳhuddār huuñ kyuuñ aa.uuñ dar-e-ahl-e-karam par
khetī kabhī ḳhud chal ke ghaTā tak nahīñ aatī
us dasht meñ qadmoñ ke nishāñ DhūñDh rahe ho
peḌoñ se jahāñ chhan ke ziyā tak nahīñ aatī
yā jaate hue mujh se lipaT jaatī thiiñ shāḳheñ
yā mere bulāne se sabā tak nahīñ aatī
kyā ḳhushk huā raushniyoñ kā vo samundar
ab koī kiran ābla-pā tak nahīñ aatī
chhup chhup ke sadā jhāñktī haiñ ḳhalvat-e-gul meñ
mahtāb kī kirnoñ ko hayā tak nahīñ aatī
ye kaun batā.e adam-ābād hai kaisā
TuuTī huī qabroñ se sadā tak nahīñ aatī
behtar hai palaT jaao siyah-ḳhāna-e-ġham se
is sard guphā meñ to havā tak nahīñ aatī