ab aap rah-e-dil jo kushāda nahīñ rakhte
ham bhī safar-e-jāñ kā irāda nahīñ rakhte
piinā ho to ik jura-e-zahrāb bahut hai
ham tishna-dahan tohmat-e-bāda nahīñ rakhte
ashkoñ se charāġhāñ hai shab-e-zīst so vo bhī
kotāhi-e-mizhgāñ se ziyāda nahīñ rakhte
ye gard-e-rah-e-shauq hī jam jaa.e badan par
rusvā haiñ ki ham koī labāda nahīñ rakhte
har gaam pe jugnū sā chamaktā hai jo dil meñ
ham is ke sivā mish.al-e-jāda nahīñ rakhte
surḳhī nahīñ phūloñ kī to zaḳhmoñ kī shafaq hai
dāmān-e-talab ham kabhī saada nahīñ rakhte