aag ke darmiyān se niklā
maiñ bhī kis imtihān se niklā
phir havā se sulag uThe patte
phir dhuāñ gulsitān se niklā
jab bhī niklā sitāra-e-ummīd
kohr ke darmiyān se niklā
chāñdnī jhāñktī hai galiyoñ meñ
koī saaya makān se niklā
ek sho.ala phir ik dhueñ kī lakīr
aur kyā ḳhāk-dān se niklā
chāñd jis āsmān meñ Duubā
kab usī āsmān se niklā
ye guhar jis ko āftāb kaheñ
kis añdhere kī kaan se niklā
shukr hai us ne bevafā.ī kī
maiñ kaḌe imtihān se niklā
log dushman hue usī ke 'shakeb'
kaam jis mehrbān se niklā