ishq ke ġham-gusār haiñ ham log
husn ke rāzdār haiñ ham log
dast-e-qudrat ko naaz hai ham par
vaqt ke shāhkār haiñ ham log
ham se qaa.em hai gulistāñ kā bharam
ābrū-e-bahār haiñ ham log
manzileñ haiñ hamāre qadmoñ meñ
hāsil-e-rah-guzār haiñ ham log
ham se tanzīm hai zamāne kī
mehvar-e-rozgār haiñ ham log
ham jo chāheñge ab vahī hogā
sāhab-e-iḳhtiyār haiñ ham log
ham se raushan hai kā.enāt 'shakeb'
asl-e-lail-o-nahār haiñ ham log