ruḳhsār aaj dho kar shabnam ne pañkhuḌī ke
kuchh aur baḳhsh Daale andāz dilkashī ke
īsār-e-ḳhud-shanāsī tauhīd aur sadāqat
ai dil sutūn haiñ ye aivān bandagī ke
rañj-o-alam meñ kuchh kuchh āmezish-e-masarrat
haiñ naqsh kaise dilkash tasvīr-e-zindagī ke
farzī ḳhudā banā.e sajde kiye butoñ ko
allāh-re karishme ehsās-e-kam-tarī ke
qalb o jigar ke TukḌe ye āñsuoñ ke qatre
allāh raas laa.e hāsil haiñ zindagī ke
sahrā.iyoñ se sīkhe koī rumūz-e-hastī
ābādiyoñ meñ akasr dushman haiñ āgahī ke
jān-e-ḳhulūs ban kar ham ai 'shakeb' ab tak
ta.alīm kar rahe haiñ ādāb zindagī ke