maiñ shāḳh se uḌā thā sitāroñ kī aas meñ
murjhā ke aa girā huuñ magar sard ghaas meñ
socho to silvaToñ se bharī hai tamām ruuh
dekho to ik shikan bhī nahīñ hai libās meñ
sahrā kī būd-o-bāsh hai achchhī na kyuuñ lage
sūkhī huī gulāb kī Tahnī gilās meñ
chamke nahīñ nazar meñ abhī naqsh duur ke
masrūf huuñ abhī amal-e-in.ikās meñ
dhoke se us hasīñ ko agar chuum bhī liyā
pāoge dil kā zahar laboñ kī miThās meñ
taara koī ridā-e-shab-e-abr meñ na thā
baiThā thā maiñ udaas bayābān-e-yās meñ
jū-e-ravān-e-dasht abhī sūkhnā nahīñ
sāvan hai duur aur vahī shiddat hai pyaas meñ
rahtā thā sāmne tirā chehra khulā huā
paḌhtā thā maiñ kitāb yahī har class meñ
kāñToñ kī baaḌ phāñd gayā thā magar 'shakeb'
rasta na mil sakā mujhe phūloñ kī baas meñ