bad-qismatī ko ye bhī gavārā na ho sakā
ham jis pe mar miTe vo hamārā na ho sakā
rah to ga.ī fareb-e-masīhā kī aabrū
har chand ġham ke māroñ kā chāra na ho sakā
ḳhush huuñ ki baat shorish-e-tūfāñ kī rah ga.ī
achchhā huā nasīb kinārā na ho sakā
be-chārgī pe chāragarī kī haiñ tohmateñ
achchhā kisī se ishq kā maarā na ho sakā
kuchh ishq aisī baḳhsh gayā be-niyāziyāñ
dil ko kisī kā lutf gavārā na ho sakā
fart-e-ḳhushī meñ aañkh se aañsū nikal paḌe
jab un kā iltifāt gavārā na ho sakā
ulTī to thī naqāb kisī ne magar 'shakeb'
da.avoñ ke bāvajūd nazāra na ho sakā