vahī jhukī huī beleñ vahī darīcha thā
magar vo phuul sā chehra nazar na aatā thā
maiñ lauT aayā huuñ ḳhāmoshiyoñ ke sahrā se
vahāñ bhī terī sadā kā ġhubār phailā thā
shab-e-safar thī qabā tīrgī kī pahne hue
kahīñ kahīñ pe koī raushnī kā dhabbā thā
ye āḌī-tirchhī lakīreñ banā gayā hai kaun
maiñ kyā kahūñ mire dil kā varaq to saadā thā
maiñ ḳhāk-dāñ se nikal kar bhī kyā huā āzād
har ik taraf se mujhe āsmāñ ne gherā thā
idhar se bār-hā guzrā magar ḳhabar na huī
ki zer-e-sañg ḳhunuk pāniyoñ kā chashma thā
vo us kā aks-e-badan thā ki chāñdnī kā kañval
vo niilī jhiil thī yā āsmāñ kā TukḌā thā
maiñ sāhiloñ meñ utar kar 'shakeb' kyā letā
azal se naam mirā pāniyoñ pe likkhā thā